اردو हिंदी
Dil se ab to naqsh-e-yaad-e-raftagan bhi miT gaya | Shaahi Shayari
dil se ab to naqsh-e-yaad-e-raftagan bhi miT gaya

Ghazal

Dil se ab to naqsh-e-yaad-e-raftagan bhi miT gaya

Siraj Muneer

;

dil se ab to naqsh-e-yaad-e-raftagan bhi miT gaya
is KHarabe se bil-aKHir ye nishan bhi miT gaya

kis qadar KHamosh tha maidan sar-e-sham-e-shikast
marhaba ke sath shor-e-al-aman bhi miT gaya

pahle to saya-fagan tha KHak ho jaane ka KHauf
phir dilon se ranj-e-umr-e-raegan bhi miT gaya

TuTta jata hai ab taraj KHwabon ka tilism
aankh se aks-e-nigar-e-mehrban bhi miT gaya

zindagi aur maut mein ek farq tha hum se 'munir'
miT gae hum farq un ke darmiyan bhi miT gaya