dil sang nahin hai ki sitamgar na bhar aata
karte na agar zabt to munh tak jigar aata
tu fatiha-KHwani ko agar qabr par aata
marne se mere ghair ka matlab na bar aata
ai qais agar dasht mein tu rah par aata
sau bar tujhe naqa-e-laila nazar aata
taKHsis na thi tur ki ai hazrat-e-musa
har sang mein wo nur-e-tajalli nazar aata
hoti chaman-ara-e-azal ki jo mashiyyat
apne shajar-e-ishq ka waqt-e-samar aata
be-kar na kar raat basar muntazari mein
aana use hota to wo ab tak 'asar' aata
Ghazal
Dil sang nahin hai ki sitamgar na bhar aata
Imdad Imam Asar