dil saKHt niDhaal ho gaya hai
sans aana muhaal ho gaya hai
tu tera visal teri furqat
sab KHwab-o-KHayal ho gaya hai
wo shauq ki tha mata-e-hasti
ab ji ka wabaal ho gaya hai
kya rabt hai mera roz o shab se
har lamha sawal ho gaya hai
jo dard bhula diya tha tu ne
wo dard bahaal ho gaya hai
ab chaaragari se faeda kya
aaghaz-e-maal ho gaya hai
tayyar rakho charag apne
suraj ko zawal ho gaya hai
ai dil meri jaan kuchh to batla
ye kya tera haal ho gaya hai
lahore ki ahl-e-dil ki jaan tha
kufe ki misal ho gaya hai
is aalam-e-be-kasi mein 'shohrat'
jita hun kamal ho gaya hai
Ghazal
Dil saKHt niDhaal ho gaya hai
Shohrat Bukhari