dil-ruba pahlu se ab uTh kar juda hone ko hai
kya ghazab hai kya qayamat hai ye kya hone ko hai
dushmani-e-KHalq meri rahnuma hone ko hai
ab mera dast-e-talab dast-e-dua hone ko hai
tu ne chaha tha bura mera bhala hone ko hai
aab-e-KHanjar halq mein aab-e-baqa hone ko hai
aaj to ji bhar ke pi lene de ai saqi mujhe
jaan hi jati rahegi aur kya hone ko hai
ai dil-e-pur-arzu kar de sar-e-taslim KHam
dekh kin hathon se KHun-e-muddaa hone ko hai
shoKH-raftari ka apni dekh to muD kar asar
sath sath uTh kar rawan har naqsh-e-pa hone ko hai
Ghazal
Dil-ruba pahlu se ab uTh kar juda hone ko hai
Khwaja Aziz-ul-Hasan Majzuub