dil-ruba hai mera baDa gustaKH
main ne itna na samjha tha gustaKH
ab to wo shoKHiyan laga karne
yak-ba-yak aisa ho gaya gustaKH
naz beja kabhi na karta tha
kya raqibon ne kar diya gustaKH
jaan-fishani hum us pe karte hain
ram hargiz na wo hua gustaKH
ai 'ziya' kijiyo samajh ke kalam
wo sanam to hai bewafa gustaKH
Ghazal
Dil-ruba hai mera baDa gustaKH
Meer Ziauddin Zia