اردو हिंदी
Dil pyasa aur aankh sawali rah jati hai | Shaahi Shayari
dil pyasa aur aankh sawali rah jati hai

Ghazal

Dil pyasa aur aankh sawali rah jati hai

Azhar Adeeb

;

dil pyasa aur aankh sawali rah jati hai
is ke baad ye basti KHali rah jati hai

be-KHwabi kab chhup sakti hai kajal se bhi
jagne wali aankh mein lali rah jati hai

tir taraazu ho jata hai aa kar dil mein
hathon mein zaitun ki Dali rah jati hai

dhup se rang aur hawa se kaghaz uD jate hain
zehn mein ek taswir KHayali rah jati hai

kabhi kabhi to 'azhar' bilkul mar jata hun
bas ek miTTi oDhne wali rah jati hai