dil pyar ke rishton se mukar bhi nahin jata
shaki hai magar chhoD ke dar bhi nahin jata
hum kis se karen shoalagi-e-mehr ka shikwa
ai abr-e-gurezan to Thahar bhi nahin jata
is shahr-e-ana mein jo fasadat na chhiDte
to pyar ka ye shauq-e-safar bhi nahin jata
wo fahm-o-farasat ka diya hath mein le kar
is daur-e-tashaddud se guzar bhi nahin jata
is ek ki rassi ko agar tham ke rahte
phir apni duaon ka asar bhi nahin jata
ye zist ke lamhe hain 'wali' qimti hire
kyun koi baDa kaam tu kar bhi nahin jata
Ghazal
Dil pyar ke rishton se mukar bhi nahin jata
Vali Madni