اردو हिंदी
Dil pe thi sabt jo tahrir miTai na gai | Shaahi Shayari
dil pe thi sabt jo tahrir miTai na gai

Ghazal

Dil pe thi sabt jo tahrir miTai na gai

Nasir Shahzad

;

dil pe thi sabt jo tahrir miTai na gai
kis ki taswir thi taswir bhulai na gai

aa ke us ban mein mile phir na kabhi do premi
ghas pagDanDiyon se jhil se kai na gai

pyar ki aanch se jal uTTha kanwal-kant badan
us se surat meri nainon mein chhupai na gai

mujh mein rach bas ke bhi tu mujh se alag KHud se alag
tere jiwan ki amiT-rup ikai na gai

TuTe katbon ke siwa mil na saka kuchh bhi magar
is miTe shahr ke Tilon ki khudai na gai

raat bhar jal pe girin jalte sitaron ki lawen
mujh se chadar koi naddi pe bichai na gai

is ke darshan se mili mujh ko KHud apni pahchan
shakl ek ruh talak surat-e-aina gai