dil pe jab tera tasawwur chha gaya
zindagi ka aaina dhundla gaya
umr-bhar koi KHushi aai na ras
ruTh kar us dil se to achchha gaya
aadmi ke aaine mein dekh kar
apni surat se KHuda sharma gaya
main to ro ro kar sada khulta raha
tu ai gul hansne pe bhi murjha gaya
de ke koi muskurahaT ka kafan
aarzu ko dil mein hi dafna gaya
le ke aae the muqaddar qais ka
sath apne har jagah sahra gaya
dil to tha shishe ka go 'simab' ka
pattharon ke shahr mein pathra gaya

Ghazal
Dil pe jab tera tasawwur chha gaya
Seemab Sultanpuri