dil pe gar choT na lagti to na ishrat thi na gham
saz ke parde se bahar na nikalta sargam
hum ko baKHsha hai zamane ne jahan-bhar ka alam
tab-e-KHurshid se chhalni hua qalb-e-shabnam
ab ye haalat hai ki wo KHud hue mail-ba-karam
aaj yaad aae bahut hum ko zamane ke sitam
KHak-e-parwana dam-e-subh uDi jati hai
khul na jae kahin mahfil ke charaghon ka bharam
jaise usha ki larazti hui pahli aahaT
yun tabassum tere honTon pe hai darham-barham
KHaliq-e-jud-o-saKHa ye to baDi baat na thi
teri duniya mein tabassum ko taraste rahe hum

Ghazal
Dil pe gar choT na lagti to na ishrat thi na gham
Sahab Qazalbash