اردو हिंदी
Dil pareshan hua jata hai | Shaahi Shayari
dil pareshan hua jata hai

Ghazal

Dil pareshan hua jata hai

Dagh Dehlvi

;

dil pareshan hua jata hai
aur saman hua jata hai

KHidmat-e-pir-e-mughan kar zahid
tu ab insan hua jata hai

maut se pahle mujhe qatl karo
us ka ehsan hua jata hai

lazzat-e-ishq ilahi miT jae
dard arman hua jata hai

dam zara lo ki mera dam tum par
abhi qurban hua jata hai

girya kya zabt karun ai naseh
ashk paiman hua jata hai

bewafai se bhi rafta rafta
wo meri jaan hua jata hai

arsa-e-hashr mein wo aa pahunche
saf maidan hua jata hai

madad ai himmat-e-dushwar-pasand
kaam aasan hua jata hai

chhai jati hai ye wahshat kaisi
ghar bayaban hua jata hai

shikwa sun aankh mila kar zalim
kyun pashiman hua jata hai

aatish-e-shauq bujhi jati hai
KHak arman hua jata hai

uzr jaane mein na kar ai qasid
tu bhi nadan hua jata hai

muztarib kyun na hon arman dil mein
qaid mehman hua jata hai

'dagh' KHamosh na lag jae nazar
sher diwan hua jata hai