dil pareshan hai na jaane kis liye
hashr-saman hai na jaane kis liye
pur-sukun gahraiyon mein zabt ki
shor-e-tufan hai na jaane kis liye
lakh aabaad-e-tamanna ho ke dil
phir bhi viran hai na jaane kis liye
meri barbaadi pe mera har nafas
zahr-KHandan hai na jaane kis liye
tishna-e-himmat jo tha zauq-e-fana
aaj aasan hai na jaane kis liye
KHali az illat nahin un ka karam
mujh pe ehsan hai na jaane kis liye
dekhiye girti hai ye bijli kahan
wo pashiman hai na jaane kis liye
nau-e-insan fasl-e-azadi mein bhi
pa-ba-jaulan hai na jaane kis liye
Ghazal
Dil pareshan hai na jaane kis liye
Wamiq Jaunpuri