dil par yunhi choT lagi to kuchh din KHub malal kiya
puKHta umr ko bachchon jaise ro ro kar behaal kiya
hijr ke chhoTe ganw se hum ne shahr-e-wasl ko hijrat ki
shahr-e-wasl ne nind uDa kar KHwabon ko pamal kiya
uthle kuen bhi kal tak pani ki daulat se jal-thal the
ab ke baadal aise sukhe naddi ko kangal kiya
suraj jab tak Dhaal raha tha sona chandi aankhon mein
bhiD mein sikke KHub uchhaale sab ko mala-mal kiya
lekin jab se suraj Duba aisa ghor andhera hai
sae sab madum hue aur aankhon ko kangal kiya
saKHt zamin mein phul ugate to kahte kuchh baat hui
hijr mein tum ne aansu bo kar aisa kaun kamal kiya
aaKHir mein 'ansari'-sahab apne rang mein Dub gae
us ko dua di us ko chheDa shahr abir gulal kiya
Ghazal
Dil par yunhi choT lagi to kuchh din KHub malal kiya
Anees Ansari