dil par sitam hazar kare bewafa ke lab
barchhi kabhi kaTar lage dilruba ke lab
guft-o-shunid mein baDe bebak hain magar
dekha mujhe to khul na sake lab-kusha ke lab
guftar-o-an-ban ka aalam na puchhiye
KHush-rang-o-jaan-faza hain mere ham-nawa ke lab
ho jae pal mein KHak wo jis ko ye chum len
jalte hue sharare hain jaan-e-ada ke lab
bosa liya to husn ne sharma ke yun kaha
raushan kiye hain aap ne mehr-o-wafa ke lab
masumiyat to dekhiye baad-e-shab-e-zifaf
mashuq shikwa-sanj hua hai dikha ke lab
baghon se hum jo guzre to phulon ne di sada
kitne hasin hain 'shad' teri dilruba ke lab
Ghazal
Dil par sitam hazar kare bewafa ke lab
Shmashad shad