dil par laga rahi hai wo nichi nigah choT
phir choT bhi wo choT jo hai be-panah choT
phoDa sar us ke dar se ki barse junun mein sang
mujh ko dila rahi hai ajab ishtibah choT
bijli ka nam sunte hi aankhen jhapak gain
rokegi meri aah ki kya ye nigah choT
lalach asar ka ho na kahin bais-e-zarar
Takra ke sar falak se na kha jae aah choT
munh har dahan-e-zaKHm ka site hain is liye
matlab hai hashr mein bhi na ho dad-KHwah choT
milti hai chup ki dad ye mashhur baat hai
jal jae aasman jo kare zabt aah choT
uThte hi dil mein Tis jigar mein Tapak hui
karti hai dard-e-hijr se goya nibah choT
chaukhaT pe teri shab ko paTakta hai sar 'hafiz'
bawar na ho to dekh jabin hai gawah choT
Ghazal
Dil par laga rahi hai wo nichi nigah choT
Hafeez Jaunpuri