dil par kisi ki baat ka aisa asar na tha
pahle main is tarah se kabhi dar-ba-dar na tha
chaaron taraf the dhup ke jangal hare-bhare
sahra mein koi mere alawa shajar na tha
tare bhi shab ki jhil mein gharqab ho gae
meri udasiyon ka koi ham-safar na tha
furqat ki aanch thi na teri yaad ki tapish
dil sard paD raha tha kahin ek sharar na tha
kal shab na jaane kaun se gham the ufan par
ashkon se is qadar main kabhi tar-ba-tar na tha
Ghazal
Dil par kisi ki baat ka aisa asar na tha
Alok Mishra