اردو हिंदी
Dil par gahra naqsh hai sathi lakh teri danai ka | Shaahi Shayari
dil par gahra naqsh hai sathi lakh teri danai ka

Ghazal

Dil par gahra naqsh hai sathi lakh teri danai ka

Irfana Azeez

;

dil par gahra naqsh hai sathi lakh teri danai ka
sat samundar bhi to na paen raaz meri gahrai ka

chashma-e-KHun mein Dub gai baraat suhane taron ki
bojhal palkon par gahna ya chand meri tanhai ka

jhum rahe hain kale baadal daras ki pyasi aankhon mein
kajal ban kar phail gaya hai dagh meri ruswai ka

kitna hai aanand tere is dhime dhime lahje mein
tere dhiraj se nikhra hai rang meri ranai ka

mere dil se puchhe koi qadr ubharte suraj ki
meri aankh se dekhe koi rup mere saudai ka

sandal jaisi rangat par qurban sunahri dhup karun
raushan mathe par main warun sara husn KHudai ka

mera bikhra bikhra tan-man simaT gaya kisi chahat se
jaan gai hun bhed main teri bahon ki girai ka