اردو हिंदी
Dil-o-nigah ki hairat main rah gae hain hum | Shaahi Shayari
dil-o-nigah ki hairat main rah gae hain hum

Ghazal

Dil-o-nigah ki hairat main rah gae hain hum

Naz Butt

;

dil-o-nigah ki hairat main rah gae hain hum
KHumar-e-KHwab ki lazzat mein rah gae hain hum

chura ke le gai duniya-e-pur-fareb us ko
aur apni sada tabiat mein rah gae hain hum

hamein to khinch raha tha safar teri jaanib
bas is jahan ki riwayat mein rah gae hain hum

wo dekhta hai ki jaise na hum ko dekha ho
is aaine ki shararat mein rah gae hain hum

hamein talash raha tha visal ka lamha
kisi ke hijr ki saat mein rah gae hain hum

hawa ke sath kahan tak gulab ja sakte
bikhar ke rah-e-mohabbat mein rah gae hain hum

wo apne KHwab ke hamrah ja chuka hai naz
akele apni haqiqat mein rah gae hain hum