dil-o-nazar ko lahu mein Dubona aata hai
na ab hansi hamein aae na rona aata hai
hawa ke hath charaghon se khelte hain yunhi
ki hath bachchon ke jaise khilauna aata hai
hum ahl-e-zar ke daron par qadam nahin rakhte
gada-e-KHak hain miTTi pe sona aata hai
KHumar-e-dar-ba-dri chain se na rahne de
jo KHwab aata hai aksar salona aata hai
ghazal ke sher hain mufrad magar wo shair hai
jise sab ek laDi mein pirona aata hai
Ghazal
Dil-o-nazar ko lahu mein Dubona aata hai
Asad Badayuni