اردو हिंदी
Dil-o-dilbar sahi ab KHwab se bedar hain donon | Shaahi Shayari
dil-o-dilbar sahi ab KHwab se bedar hain donon

Ghazal

Dil-o-dilbar sahi ab KHwab se bedar hain donon

Nushur Wahidi

;

dil-o-dilbar sahi ab KHwab se bedar hain donon
sharik-e-majlis-e-araish-e-guftar hain donon

chaman mein kya hua gulchin ho bagul-kar kya jaane
nazar aata nahin kuchh nargis-e-bimar hain donon

nigah-e-ahl-e-duniya ho ki chashm-e-nim-KHwab un ki
kabhi iqrar hain donon kabhi inkar hain donon

ibaadat-KHana-ha-e-kufr-o-iman mein gaya lekin
nida aai ki wapas ja yahan ghaddar hain donon

jidhar daulat ki kirnen hain udhar jata nahin koi
wo aashiq ho ki shair saya-e-diwar hain donon

darun-e-halqa-e-gang-o-jaman hai sher ki duniya
ye dilli lucknow bhi kuchh nahin is par hain donon

taghaful ki ada ho ya hukumat ki adakari
bura kis ko kahun mere liye sarkar hain donon