dil nin pakDi hai yar ki surat
gul hua hai bahaar ki surat
koi gul-ru nahin tumhaari shakl
hum ne dekhin hazar ki surat
tujh gali bich ho gaya hai dil
dida-e-intizar ki surat
husn ka malak hum nin sair kiya
kahin dekhi na pyar ki surat
ab zamana sabhi tarah bigDa
kya bane rozgar ki surat
wasl ke bich hijr ja hai bhul
jun nashe mein KHumar ki surat
is zamane ki dosti ke tain
kuchh nahin e'tibar ki surat
kuchh Thaharti nahin ki kya hogi
is dil-e-be-qarar ki surat
mubtazil aur KHarab ho kar ke
apni launDe nin KHwar ki surat
'abru' dekh yar ka bro-dosh
dil hua hai kanar ki surat
Ghazal
Dil nin pakDi hai yar ki surat
Abroo Shah Mubarak