dil ne Thokar kha ke samjha hadisa kya chiz hai
gham kise kahte hain dard-e-la-dawa kya chiz hai
mahw-e-hairat hun ye duniya se juda kya chiz hai
aap ka paigham be-harf-o-sada kya chiz hai
is ke mani KHud-pasandi ke siwa kuchh bhi nahin
dil mein paiham KHwahish-e-dad-e-wafa kya chiz hai
ab andhera hi andhera hai ufuq-ta-ba-ufuq
is haqiqat mein KHilaf-e-majra kya chiz hai
kufr hai ye sochna bhi karobar-e-ishq mein
muddaa kya shai hai tark-e-muddaa kya chiz hai
sar hai zeb-e-dar lekin lab tabassum-ashna
haq-nawai par main KHush hun ye saza kya chiz hai
kar-arai-e-sai-e-shauq hai pesh-e-nazar
warna socho jumbish-e-parda-kusha kya chiz hai
hum raza-e-dost mein raazi hain ye sach hai to phir
dekhna hoga ki dastur-e-dua kya chiz hai
rafta rafta tum pe sab kuchh aaina ho jaega
kya bataun sai-e-tark-e-muddaa kya chiz hai
jalwa-gah-e-naz se uThna koi aasan nahin
pahle ye dekho yahan zanjir-e-pa kya chiz hai
jin ki fitrat na-shanas-e-zauq-e-mohkam hai 'uruj'
main unhen ye kaise samjhaun wafa kya chiz hai
Ghazal
Dil ne Thokar kha ke samjha hadisa kya chiz hai
Urooj Zaidi Badayuni