اردو हिंदी
Dil ne kiya hai qasd-e-safar ghar sameT lo | Shaahi Shayari
dil ne kiya hai qasd-e-safar ghar sameT lo

Ghazal

Dil ne kiya hai qasd-e-safar ghar sameT lo

Jaun Eliya

;

dil ne kiya hai qasd-e-safar ghar sameT lo
jaana hai is dayar se manzar sameT lo

aazadgi mein shart bhi hai ehtiyat ki
parwaz ka hai izn magar par sameT lo

hamla hai chaar su dar-o-diwar-e-shahr ka
sab jangalon ko shahr ke andar sameT lo

bikhra hua hun sarsar-e-sham-e-firaq se
ab aa bhi jao aur mujhe aa kar sameT lo

rakhta nahin hai koi na-gufta ka yan hisab
jo kuchh hai dil mein us ko labon par sameT lo