dil ne apni zaban ka pas kiya
aankh ne jaane kya qayas kiya
kya kaha baad-e-subh-gahi ne
kya charaghon ne iltimas kiya
kuchh ajab taur zindagani ki
ghar se nikle na ghar ka pas kiya
ishq ji jaan se kiya hum ne
aur be-KHauf-o-be-hiras kiya
raat aai udhar sitaron ne
shabnami pairahan libas kiya
saya-e-gul to main nahin jis ne
gul ko dekha na gul ko bas kiya
baal to dhup mein safed kiye
zard kis chhanw mein libas kiya
kya tera e'tibar tha tu ne
kya ghazab shahr-e-nasapas kiya
kya bataun sabab udasi ka
be-sabab main use udas kiya
zindagi ek kitab hai jis se
jis ne jitna bhi iqtibas kiya
jab bhi zikr-e-ghazal chhiDa us ne
zikr mera ba-taur-e-KHas kiya
Ghazal
Dil ne apni zaban ka pas kiya
Rasa Chughtai