dil-nagar mein bhi aaiye sahib
warna aaankhon se jaiye sahib
ji uThenge hazar-ha manzar
sirf palken uThaiye sahib
main gira to zamana uTThega
baat dil mein biThae sahib
is jagah TuT-phuT rahti hai
mere dil mein na aaiye sahib
KHak hain aap ki hatheli par
jaise chahe uDaiye sahib
main na bola to kaun bolega
aap KHud hi bataiye sahib
hum se duniya to ruTh baiThi hai
aap hi man jaiye sahib
Ghazal
Dil-nagar mein bhi aaiye sahib
Shahzad Nayar