dil na lo dil ka ye lena hai na iKHfa hoga
is ko dil kahte hain bas lete hi charcha hoga
tum ko har aan udhar howegi husn-arai
hum ko har lahza idhar zauq-e-tamasha hoga
hum bhi sau chah se dekhenge tumhaari jaanib
tum se bhi zabt-e-tabassum na phir asla hoga
jun hi hum dekhenge tum aur tabassum hoge
chah ka ghuncha-e-sar-basta wahin wa hoga
guftugu howegi baham jo ishaaraat ke sath
matn is ka bhi harifon mein muhashsha hoga
panw tak hath jo lawenge kisi uzr se hum
taDne walon mein shor is ka bhi barpa hoga
jab ye taqrir suni us shah-e-KHuban ne 'nazir'
hum se dil le liya aur hans ke kaha kya hoga
Ghazal
Dil na lo dil ka ye lena hai na iKHfa hoga
Nazeer Akbarabadi