اردو हिंदी
Dil na diwana ho ye usko gawara bhi nahin | Shaahi Shayari
dil na diwana ho ye usko gawara bhi nahin

Ghazal

Dil na diwana ho ye usko gawara bhi nahin

Jigar Barelvi

;

dil na diwana ho ye us ko gawara bhi nahin
chaak daman-o-gireban hon ye ima bhi nahin

hum liye jaenge kuchh us ka bharosa bhi nahin
jaan de den ye mohabbat ka taqaza bhi nahin

be-niyaz aap se ho jaen ye hota bhi nahin
dil hi jab dekhte hain koi tamanna bhi nahin

jaan be-tab si rahti hai ki ho jae nisar
aankh bhar kar abhi hum ne use dekha bhi nahin

zaKHm baDhta bhi nahin faisla jis se ho jae
tir wo dil mein laga hai ki nikalta bhi nahin

be-hijabi bhi nahin wo ki jo hosh uD jaen
hosh rah jaen Thikane hi dar-parda bhi nahin

chain paDta hi nahin hai kisi karwaT hum ko
KHar sine mein chhupa hun koi aisa bhi nahin

phir bhi dil hai ki usi par hue jata hai nisar
aankh uTha kar kabhi jis ne hamein dekha bhi nahin

zarre zarre pe bahaar aa gai dil mein bhi bahaar
jazba-e-shauq hamara abhi bhaDka bhi nahin

panw rakhte bhi nahin aap baDhe jate hain
hum ko us kuche ka sauda ho to sauda bhi nahin

lutf hota to yahi tha ki na hote barbaad
hum jo barbaad hue to koi shikwa bhi nahin

shikwa-e-jaur to karte hain magar sach to ye hai
lutf hum par ho 'jigar' hum ne ye chaha bhi nahin