اردو हिंदी
Dil murid-e-ilzam-e-wafa aur bhi nikla | Shaahi Shayari
dil murid-e-ilzam-e-wafa aur bhi nikla

Ghazal

Dil murid-e-ilzam-e-wafa aur bhi nikla

Karrar noori

;

dil murid-e-ilzam-e-wafa aur bhi nikla
ek gham gham-e-dauran ke siwa aur bhi nikla

yun hone ko hum se hai KHafa sara zamana
ek shaKHs magar hum se KHafa aur bhi nikla

har-chand ki hum karda KHataon pe the nadim
duniya ko magar hum se gila aur bhi nikla

pahle hi se barham-kun-e-mahfil thi tabiat
mahaul magar hum se KHafa aur bhi nikla

is bar wo dekhen karam-amada nigahen
juz hijr-e-mohabbat ka sila aur bhi nikla

le aai thi zindan mein shahidon ki mohabbat
lekin sabab-e-jurm-o-saza aur bhi nikla

hum wo ki jo raazi-ba-raza ho nahin sakte
har hukm pe honTon se gila aur bhi nikla