dil munafiq tha shab-e-hijr mein soya kaisa
aur jab tujh se mila TuT ke roya kaisa
zindagi mein bhi ghazal hi ka qarina rakkha
KHwab-dar-KHwab tere gham ko piroya kaisa
ab to chehron pe bhi katbon ka guman hota hai
aankhen pathrai hui hain lab-e-goya kaisa
dekh ab qurb ka mausam bhi na sarsabz lage
hijr hi hijr marasim mein samoya kaisa
ek aansu tha ki dariya-e-nadamat tha 'faraaz'
dil se bebak shanawar ko Duboya kaisa
Ghazal
Dil munafiq tha shab-e-hijr mein soya kaisa
Ahmad Faraz