اردو हिंदी
Dil mujhe samjhata hai to dil ko samjhata hun main | Shaahi Shayari
dil mujhe samjhata hai to dil ko samjhata hun main

Ghazal

Dil mujhe samjhata hai to dil ko samjhata hun main

Ahmad Kamal Hashmi

;

dil mujhe samjhata hai to dil ko samjhata hun main
jaane kaise aql ki baaton mein aa jata hun main

din mujhe har din bana leta hai apna yarghamal
raat jab aati hai to KHud ko chhuDa lata hun main

koi jhuTa wada bhi karta nahin hai wo kabhi
KHud umiden bandh leta hun bahal jata hun main

zinda rahne ka mujhe fan aaj tak aaya nahin
phir bhi jina chahta hun kya ghazab Dhata hun main

Dal kar aankhon mein aankhen karni hai kuchh guftugu
zindagi ai zindagi to ruk abhi aata hun main

main ne dariya ke hawale kar diya hai tan-badan
maujon ki rau mein KHamoshi se baha jata hun main

ab na aaega mere sheron mein tera tazkira
ai meri jaan-e-ghazal teri qasam khata hun main

shiddat-e-gham hi ilaj-e-gham bhi hota hai 'kamal'
baDhti hain tarikiyan to raushni pata hun main