dil mujhe kufr aashna na kare
banda but ka hun main KHuda na kare
kaTti hai patang ghairon ki
hum se takkal tere uDa na kare
sulh manzur hai agar tum ko
aankh aghyar se laDa na kare
kyun na aanchal dupaTTe ka laTke
ho pari-zad par laga na kare
hai wo but ab to mahw-e-yaktai
Dar KHuda ka na ho to kya na kare
paDhe 'nadir' jo sher-e-tarz-e-jadid
sun ke kyun KHalq wah-wa na kare

Ghazal
Dil mujhe kufr aashna na kare
Nadir Lakhnavi