dil mubtala-e-hijr rifaqat mein rah gaya
lagta hai koi farq mohabbat mein rah gaya
is ghar ke do makin the ek peD aur main
ye hijr to kisi ki shararat mein rah gaya
ek bar mana karti hui sham se to puchh
jo bhi juda hua wo haqiqat mein rah gaya
mumkin tha tujh ko chhin hi leta jahan se
lekin main kya karun main mohabbat mein rah gaya
ab tu hi meri KHali hatheli ki laj rakh
mujh se to koi farq ibaadat mein rah gaya
tujh par hai koi zoam na KHud par yaqin 'nadim'
kuchh din ka hum mein pyar to aadat mein rah gaya
Ghazal
Dil mubtala-e-hijr rifaqat mein rah gaya
Nadeem Bhabha