اردو हिंदी
Dil miT gaya to KHair zarurat nahin rahi | Shaahi Shayari
dil miT gaya to KHair zarurat nahin rahi

Ghazal

Dil miT gaya to KHair zarurat nahin rahi

Nadir Shahjahanpuri

;

dil miT gaya to KHair zarurat nahin rahi
hasrat ye rah gai hai ki hasrat nahin rahi

ye dil badal gaya ki zamana badal gaya
ya teri aankh mein wo murawwat nahin rahi

teri nazar ke sath badalta raha hai dil
do rose bhi to ek si haalat nahin rahi

tar-damani se hath na dho ai dil-e-hazin
kya ab KHuda ki josh pe rahmat nahin rahi

dekhega KHwab mein bhi na wo surat-e-sukun
jis ko KHuda se chashm-e-inayat nahin rahi

un ki gali nahin hai na un ka harim hai
jannat bhi mere waste jannat nahin rahi

kis shab taDap taDap ke na kaTi tamam shab
kis rose mere ghar pe qayamat nahin rahi

'nadir' na aae harf tumhaari zaban par
wo sher kya hai jis mein fasahat nahin rahi