dil mera TuTa to us ko kuchh malal aa hi gaya
apne bachpan ke khilaune ka KHayal aa hi gaya
hashr mein mazlum sab chup rah gae munh dekh kar
aaKHir is zalim ke kaam us ka jamal aa hi gaya
hans ke bola jab phansa baalon mein KHun-aluda dil
jal phailaya tha main ne us mein lal aa hi gaya
chhup ke gar mah-e-siyam aata to mai kyun chhuTti
kya karun main samne mere hilal aa hi gaya
dil tha us ka lekin ab hum mar ke denge hur ko
wo pasheman hai ki waqt-e-intiqal aa hi gaya
kanp uThe ghusse se wo sun kar meri fariyaad ko
naghma aisa tha ki aaKHir un ko haal aa hi gaya
meri nazron se koi ai 'shauq' sikhe jazb-e-ishq
ban ke til aankhon mein us ke ruKH ka KHal aa hi gaya
Ghazal
Dil mera TuTa to usko kuchh malal aa hi gaya
shauq Qidvai