dil mera KHugar-e-alam hua jata hai
ab sitam bhi tera inam hua jata hai
zabt-e-gham maut ka paigham hua jata hai
dil ki baaton mein mera kaam hua jata hai
nisbat-e-KHas to hai zulm pe yun shad the hum
ye bhi andaz tera aam hua jata hai
teri maKHmur nigahon ke tasadduq mein koi
waqif-e-raaz-e-mai-o-jam hua jata hai
tark-e-ulfat se junun mujh ko hua yun hi sahi
husn kyun larza-bar-andam hua jata hai
dil jo tha saghar-e-sahba-e-sukun ai 'naKHshab'
markaz-e-gardish-e-ayyam hua jata hai

Ghazal
Dil mera KHugar-e-alam hua jata hai
Nakhshab Jaarchawi