dil mera aaj yar mein hai ga
kis KHizan mein bahaar mein hai ga
galiyan mujh ko de hai dene do
kuchh na bolo KHumar mein hai ga
sun ke kahne laga tu jaane hai
ki nashe ke utar mein hai ga
galiyan main to sab ko deta hun
ek to kis shumar mein hai ga
'hatim' aisi kahan hai lazzat-e-wasl
jo maza intizar mein hai ga
Ghazal
Dil mera aaj yar mein hai ga
Shaikh Zahuruddin Hatim

