dil mera aaj mere pas nahin
mujh mein kuchh hosh aur hawas nahin
dil lagaya jahan jafa dekhi
kya bala ishq mujh ko ras nahin
pas hai yas gard hai dil ki
aur ab koi aas-pas nahin
aap to apna arz kar le haal
dil hamein tab-e-iltimas nahin
yun KHuda chahe to mila de use
wasl ki par hamein to aas nahin
main bhi kuchh ho gaya hun pazhmurda
dil hi mera faqat udas nahin
kya mile tujh se koi dil-dada
aashnai ki tujh mein bas nahin
hai ghafurur-rahim teri zat
sab se hai yas tujh se yas nahin
ek Dar hai to dost ka mujh ko
dushmanon se to kuchh hiras nahin
tere KHatir ye sab se dur hua
tu bhi tujh ko 'hasan' ka pas nahin
Ghazal
Dil mera aaj mere pas nahin
Meer Hasan