dil mein yun pyar ki ek taza kahani mahke
jaise aangan mein kahin raat-ki-rani mahke
main ne lafzon ko kahan us ki taraf moDa hai
zikr aa jae jo us ka to kahani mahke
sar se pa tak use KHushbu ka KHazana kahiye
baiThe dariya mein utar jae to pani mahke
gham ki sadiyon ki amanat hai ghazal ki tahzib
'mir' ke baad usi rang mein 'fani' mahke
is ko kahte hain mohabbat ka karishma 'mansur'
meri ghazlon mein mera dushman-e-jaani mahke
Ghazal
Dil mein yun pyar ki ek taza kahani mahke
Mansoor Usmani