dil mein yun chah ka arman na hua tha so hua
jis ki KHatir main pareshan na hua tha so hua
wo bhi kya din the ki jab rahat-e-jaan tha koi
waqt bhi mujh se gurezan na hua tha so hua
kis ko hai tab-e-nigahi tera jalwa dekhe
aaina KHud bhi to hairan na hua tha so hua
gham-gusari ke liye ab nahin aata hai koi
zaKHm bhar jaane ka imkan na hua tha so hua
ye bhi eajaz-e-mohabbat hai ki wo shoKH kabhi
wajh-e-taskin-e-dil-o-jaan na hua tha so hua
jal uThin dil mein teri yaad ki shamen aaKHir
is KHarabe mein charaghan na hua tha so hua
us ki KHwahish kahun ya apni tamanna 'nadir'
bazm mein us ki ghazal-KHwan na hua tha so hua
Ghazal
Dil mein yun chah ka arman na hua tha so hua
Athar Nadir