dil mein yaad-e-but-e-be-pir liye baiTha hun
yani ek zulm ki taswir liye baiTha hun
aah mein dard ki tasir liye baiTha hun
dil mein ek KHun bhara tir liye baiTha hun
ek zara si KHalish-e-dard-e-jigar par ye ghamanD
jaise kul ishq ki jagir liye baiTha hun
hai mujhe saz-e-tarab soKHta-samani-e-dil
parda-e-KHak mein iksir liye baiTha hun
chur shishe pe nazar paDte hi dil yaad aaya
miTne wale teri taswir liye baiTha hun
qaid ko toD ke samjha ki sahaara toDa
hath mein panw ki zanjir liye baiTha hun
'arzu' ho chuki sau martaba duniya bedar
aur main soi hui taqdir liye baiTha hun
Ghazal
Dil mein yaad-e-but-e-be-pir liye baiTha hun
Arzoo Lakhnavi