dil mein wo shor na aankhon mein wo nam rahta hai
ab tap-e-hijr tawaqqo se bhi kam rahta hai
kabhi shoale se lapakte the mere sine mein
ab kisi waqt dhuan sa koi dam rahta hai
kya KHuda jaane mere dil ko hua tere baad
na KHushi is mein Thaharti hai na gham rahta hai
rishta-e-tar-e-tamanna nahin TuTa ab tak
ab bhi aankhon mein teri zulf ka KHam rahta hai
chhoD jati hai har ek rut koi KHushbu koi rang
na sitam rahta hai baqi na karam rahta hai
Ghazal
Dil mein wo shor na aankhon mein wo nam rahta hai
Ahmad Mushtaq