اردو हिंदी
Dil mein wo dard uTha raat ki hum so na sake | Shaahi Shayari
dil mein wo dard uTha raat ki hum so na sake

Ghazal

Dil mein wo dard uTha raat ki hum so na sake

Aziz Tamannai

;

dil mein wo dard uTha raat ki hum so na sake
aise bikhre the KHayalat ki hum so na sake

thapkiyan dete rahe ThanDi hawa ke jhonke
is qadar jal uThe jazbaat ki hum so na sake

aankhen takti rahin takti rahin aur thak bhi gain
hae-re pas-e-riwayat ki hum so na sake

ye bhi sach hai ki na hushiyar na bedar the hum
ye bhi sachchi hai magar baat ki hum so na sake

ek do pal ke liye hum ko ata ho jae
nind ai qibla-e-hajat ki hum so na sake

saz-e-dauran pe kuchh is tarah se angusht-e-hayat
chheDti jati thi naghmat ki hum so na sake

ek sannaTa tha aawaz na thi aur na jawab
dil mein itne the sawalat ki hum so na sake

jhilmilate rahe tarik shabistan ke pare
aise bite hue lamhat ki hum so na sake

raat bhar dasht-e-tasawwur mein bhaTakte hi rahe
jaane kya un se hui baat ki hum so na sake

umr bhar yun to 'tamannai' rahe tesha-ba-kaf
itni sangin thi har raat ki hum so na sake