dil mein us shoKH ke jo rah na ki
hum ne bhi jaan di par aah na ki
parda-poshi zarur thi ai charKH
kyun shab-e-bul-hawas siyah na ki
tishna-lab aise hum gire mai par
ki kabhi sair-e-id-gah na ki
us ko dushman se kya bachiye wo charKH
jis ne tadbir-e-KHasaf-e-mah na ki
kaun aisa ki us se puchhe kyun
pursish-e-haal dad-KHwah na ki
tha bahut shauq-e-wasl tu ne to
kami ai husn ta-ba-gah na ki
ishq mein kaam kuchh nahin aata
gar na ki hirs-o-mal-o-jah na ki
tab-e-kam-zarf ko kahan tum ne
dushmani ki adu se chah na ki
main bhi kuchh KHush nahin wafa kar ke
tum ne achchha kiya nibah na ki
mohtasib ye sitam gharibon par
kabhi tambih-e-baadshah na ki
girya-o-ah be-asar donon
kis ne kashti meri tabah na ki
tha muqaddar main us se kam milna
kyun mulaqat gah gah na ki
dekh dushman ko uTh gaya be-did
mere ahwal par nigah na ki
'momin' is zehn-e-be-KHata par haif
fikr aamarzish-e-gunah na ki
Ghazal
Dil mein us shoKH ke jo rah na ki
Momin Khan Momin