اردو हिंदी
Dil mein un ka KHayal aata hai | Shaahi Shayari
dil mein un ka KHayal aata hai

Ghazal

Dil mein un ka KHayal aata hai

Abu Mohammad Wasil

;

dil mein un ka KHayal aata hai
aur pahron mujhe rulata hai

bas tu hi tu hai har taraf maujud
koi aata hai aur na jata hai

aankhon aankhon mein le liya dil ko
aur dil mein koi samata hai

zulmaton ka guzar kahan mumkin
un ka raushan KHayal aata hai

apni surat kahan rahi 'wasil'
un ki surat ka sab tamasha hai