اردو हिंदी
Dil mein tere ai nigar kya hai | Shaahi Shayari
dil mein tere ai nigar kya hai

Ghazal

Dil mein tere ai nigar kya hai

Aagha Akbarabadi

;

dil mein tere ai nigar kya hai
hota nahin ham-kanar kya hai

aaya jo dam wo hai ghanimat
is zist ka e'tibar kya hai

hain seb se bhi wo chhatiyan saKHt
aage un ke anar kya hai

duniya ke ye sab Dhakosle hain
turbat kaisi mazar kya hai

taus se chheD-chhaD kaisi
han ai dil-e-dagh-dar kya hai

jo jo wo ranj den uThao
jab dil hi diya to aar kya hai

main chahta hun use na chahun
dil par mera iKHtiyar kya hai

mizhgan ka hai mere dil mein khaTka
ai KHushbu-e-nok-e-KHar kya hai

miTTi meri KHak mein milai
mujh se un ko ghubar kya hai

dauDun to mujhe saba na pae
paidal kaisa sawar kya hai

bose ki talab ki wasl ka zikr
farmaiye nagawar kya hai

hai kya 'agha' taDap raha hai
kyun kahte ho bar bar kya hai