dil mein Tisen jag uThti hain pahlu badalte waqt bahut
apna zamana yaad aata hai suraj Dhalte waqt bahut
wo parcham wo sar ke turre aur wo safine apne the
jin ko dekh ke shoale bhi roe the jalte waqt bahut
un shishon ke rezon ka marham hai apne zaKHmon par
lamha lamha jo TuTe talwaren chalte waqt bahut
pal bhar mein pani hote dekhe hain sanam kirdaron ke
hum kaise kah den lagta hai sang pighalte waqt bahut
sune kitne baam hue kitne aangan be-nur hue
chand se chehre yaad aate hain chand nikalte waqt bahut
ab har ghar ki chaukhaT hum par hansti hai to raaz khula
phuT phuT kar roi thin kyun dahlizen chalte waqt bahut
do naslon ki kashti thi wo pichhle dinon jo Dub gai
bhige jismon walo lagega tum ko sambhalte waqt bahut
Ghazal
Dil mein Tisen jag uThti hain pahlu badalte waqt bahut
Akhtar lakhnvi