dil mein tir-e-ishq hai aur farq par shamshir-e-ishq
kya bataen paD gai hai panw mein zanjir-e-ishq
dekhne wale ye kahte hain kitab-e-dahr mein
tu sarapa husn ka naqsha hai main taswir-e-ishq
kohkan aur qais mil jaen to main un se kahun
le gae kya sath hi qabron mein tum tasir-e-ishq
wah-re insaf itna bhi na wan puchha gaya
ye qusur-e-husn hai ya asl mein tasir-e-ishq
baat karne se bhi nafrat ho gai dildar ko
wah-re izhaar-e-ulfat wah-re tasir-e-ishq
kya sabab kya wajh kyun aa kar nikal jae shikar
kyun nishana par na jaega hamara tir-e-ishq
pahle apna sar qalam karwae phir tayyar ho
har kisi ka kaam hai jo likh sake tafsir-e-ishq
daulat-e-didar hasb-e-muddaa hasil hui
mil gai jis shaKHs ko taqdir se iksir-e-ishq
husn-e-jaanan ki kashish duniya mein baqi rah gai
bad-nasibi se hamari uD gai tasir-e-ishq
tu bhi gul ke aaine par khinch de taswir-e-husn
main bhi bulbul ko sunaun bagh mein taqrir-e-ishq
kya shikayat us ki 'parwin' ye to hoti aai hai
pahle ulfat ki thi izzat aur na ab tauqir-e-ishq
Ghazal
Dil mein tir-e-ishq hai aur farq par shamshir-e-ishq
Parveen Umm-e-Mushtaq