dil mein shola tha so aankhon mein nami banta gaya
dard ka benam jugnu raushni banta gaya
ek aansu ajnabiyat ka nadi banta gaya
ek lamha tha takalluf ka sadi banta gaya
kya labaalab roz o shab the aur kya wahshi tha main
zindagi se dur ho kar aadmi banta gaya
kab junun mein khinch gai pairon se arz-e-e'tidal
aur ek yunhi sa jazba aashiqi banta gaya
rafta rafta tirgi ne dasht-e-jaan sar kar liya
raushni ka har fasana an-kahi banta gaya
zindagi ne kaise raazon ki piTari khol di
aagahi ka har tayaqqun gumrahi banta gaya
shahr ka chehra samajh kar dekhte the sab use
aur wo KHud se bhi 'shahpar' ajnabi banta gaya
Ghazal
Dil mein shola tha so aankhon mein nami banta gaya
Shehpar Rasool