dil mein shagufta gul bhi hain raushan charagh bhi
kya chiz hain ye soz-e-mohabbat ke dagh bhi
TuTa tha ek jam-e-sifali na jaane kyun
rindon ne toD Dale munaqqash ayagh bhi
tadbir-e-chaara-sazi-e-dil sochne ke baad
rahta hai bad-guman mere dil se dimagh bhi
hum wo nahin jo maut ke pardon mein kho gae
hum ne to zindagi ka lagaya suragh bhi
hum ne to raaz-e-ishq chhupaya magar 'farid'
chaaragaron ne DhunDh liye dil ke dagh bhi
Ghazal
Dil mein shagufta gul bhi hain raushan charagh bhi
Fareed Ishrati