dil mein na ho jurat to mohabbat nahin milti
KHairaat mein itni baDi daulat nahin milti
kuchh log yunhi shahr mein hum se bhi KHafa hain
har ek se apni bhi tabiat nahin milti
dekha hai jise main ne koi aur tha shayad
wo kaun tha jis se teri surat nahin milti
hanste hue chehron se hai bazar ki zinat
rone ki yahan waise bhi fursat nahin milti
nikla karo ye shama liye ghar se bhi bahar
kamre mein sajaane ko musibat nahin milti
Ghazal
Dil mein na ho jurat to mohabbat nahin milti
Nida Fazli